Monday, August 11, 2008

Jab unse bat hui
Jab usne kaha ki kya ab kisi ke liye laal hari churiya kharidte ho?
Maine kaha ab kisi ki kalayi pe ye rang acha nahi lagta…..

Jab usne kaha ki ab kiske aanchal ko akaash kahate ho?
Maine kaha ab kisi ke aanchal me wo khusbu kaha hai….

Jab usne kaha ki mere baad kabhi kisi se mohobbat hui?
Maine kaha mohobbat ho jati hai ki nahi jati…..

Jab usne kaha hi jane-lehjay me kabhi udasiyat si hui?
Meine kaha ki titliyon ne bhi mere dukh ko mehsoos kiya hai…

Jab usne kaha ki mujhe bewafa ka naam to nahi doge?
Maine kaha ki tere nasib me ye lafz nahi hai….

Jab usne kaha ki mere zikar per kabhi ro bhi lete hoge?
Maine kaha ki meri aankho ko har waqt phurwar achi lagi hai….

Jab usne kaha ki tumhri baato me itnt gehrayi kiyu hai?
Maine kaha ki teri judai ke baad mujhe ye aizaaz khuda se mila hai…..

No comments: