Saturday, October 18, 2008

......

Muddath Ho gayi hai Un tanhaiyoun Ko Guzre

Ab bhi in Ankho mein Woh Khamoshiya Kyun Hai?

Tod Diya jisne Mohabbat par se Yakeen Mera

Ab bhi Woh mere dil mein Kaabiz Kyun Hai?

unke nishan hi bus baki hain.........

Kya socha tha aur kya ho gaya


Jise chaha tha wohi anjaan ho gaya


Manzile to mili bahut si , par jine chaha wo hi kho gaya

Thursday, October 9, 2008

sab badal kar wo keh gae ki ab hum wo r.b nahi rahe jin se unhone pyaar kiya tha

Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi

woh sab jaan kar bhi anjan kyo hai??????

Woh jante hai ki hum unke intezaar mein hai..
isliye shayad woh der laga rahe hai,
waqt kat-ta nahin unke bina hamara..
yeh jante huve bhi hame sata rahe hai,
na jane kya milta hai unhe hame yun sata kar
jo der se akar bhi woh muskara rahe hai

Mere Haathon ki Lakeeren.............

Mere Haathon Se Gir Gayi Lakeeren Kahin,

Bhool Aaye Hum Apni Takdeeren Kahin.

Agar Mile Tumko Kahin To Utha Lena,

Mere Hisse Ki Har Khushi Apne Haathon Pe Saja Lena

apka intezar kiya karte hain........

Hum yaad apko Hamesa karenge,
raat ke taaro se zikra apka karenge,
aap aaye na aaye hamare khwabon me,
aapka intezar kiya karenge.
Barsat ki har boond mei samaye ho tum,

mere dil mein khas jagah banaye bhethe ho tum,

yu toh hamdard ki kami hai nahi hume,

par na jane kyo aaj na chahakar bhi bahut yaad a rahei ho tum. . .!!!

kuch unkahe wade

KASH WADO KA MATLAB WOH SAMAJ PATE,

HAMARI KHAMOSHI KA MATLAB WOH SAMAJH PATE,

NAZREN KEHTI HAIN HAZAR BATEIN

KASH HAMARI EK NAZAR WOH SAMAJH PATE. . . !!!