Saturday, November 15, 2008

pyar ka sach............

Kisiko apna banane me der lagti hai,
ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai.

Monday, November 10, 2008

BHULA KAR HAME WO KHUSH REH PAYENGE
SATH MEIN NAHI TO MERE JANE K BAAD MUSKURAYE GE
DUA HAI KHUDA SE KI UNHE KABHI DARD NA DENA,
HUM TO SEH GAYE PAR WO TOOT JAYENGE!
Bohot khushnuma kal Raat guzri hai

Kuch tanha par kuch khaas guzri hai

Na neend aayi na Khwaab koi

Bas aapke Hi ke khayalon ke saath guzri hai

Friday, November 7, 2008

Har koi paa sake manzil ye zaroori to nahi,
Hum hi unsay door jaye yeah zaroori to nahi,
Sabke seene me ho khush dil ye zaroori to nahi,
Gum ko aansu samaz ke pi jaye ya zaroori to nahi,
Wo har tarah se kabil hain muhabbat ke liye,
Per hum unki muhabbat ke kabil ho gaye ya zaroori to nahi ,
Hum bhi ho uske pyar ke kabil ye zaroori to nahi......

Jane Kitne Hi Arman Dafana Chuka Hoon Is Dil Me.

Har Subha Nikal Parta Hu Jo Khud Ki Talash Me
Wo Khoyen Hui Si Ek Pahchan Hoon Main.

Na Ankhon Me Khawab Hai Na Dil Me Tamanna Koi.
Apni Banayi Hui Rahon Se Hi Anjan Hoon Main.

Kabhi Zara Si Baat Par Ansu Baha Deta Tha.
Aaj Rah Me Padi Lash Ki Tarah Bejan Hoon Main.

Ankho Me Khwab Sanjone Ki Bhi Saza Mili Hai Mujhe.
Khilne Se Pehle Hi Jo Toot Jaye Aisa Ek Arman Hoon Main.

Kis Kadar Fareb Karta Hai Samandar Ek Kashti Se.
Is Zindgi Ke Har Zulm Ki Gawa Hoon Main.

Jane Kitne Hi Arman Dafana Chuka Hoon Is Dil Me.
Ab To Lagta Hai Jaise Khud Hi Ek Kabrinstan Hoon Main......