Kya baat kaho on ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hu,
Woh ankhien jheel si ankhien hain
Jin main doob ke, rooz ubharta hu,
Mujhey dekhney ke liyeh uthti hain
Miltey hi nazar woh jhukti hai,
Sare jaha main aisi ankhien nahi
Jin akhoon pe main marta hu,
In ankhoo main kabhi ansoo na aaye
Kabhi koi gam na pass aaye,
Sada muskurati rahe ye ankhien
Har dum ye dua main karta ho hu,
Kya baat kahu un ankhoo ki
Jin ankhoo pe main marta hu ...........
No comments:
Post a Comment